kashti |
""ye poem un logo ke liye hai jinhe nhi pata kee wo apni zindagi me kya kar rahe hai or jo kar rahe hai wo kyun kar rahe hai ""
khwaab maine bhi dheke the aur usne(kashti) bhi
armaan mere dil mai bhi the aur uske bhi
pure mujhe bhi karne the aur use bi
fir bi na jaane kyu apne armaano ko jinda laash bana diya...aur usne jinda lash ko na jaane kaha dafna diya
ab ek samundar ko paar karne chale hai hum
samundar ka na to thikana hai aur na hee hai koi kinara
ye mujhe bhi pata hai aur use bhi
fir bi na jaane kyu chale ja rahe hai hum
chalte chalte itna thak gaye
ki ab mehnat karne se bhi darte hai
ye use bi pta hai aur mujhe nhi
ki is samundar mai na chalne se kuch hoga aur nahi kuch karne se
fir bi na jane kyu chale ja rahe hai hum
chupte chupate dukte dukate hum chale ja rahe hai
apne dheeraj ka imtihaan dete ja rahe hai
ye sansaar hame nikamma ,gadha aur na jaane kya kya kaheta hai
ye mujhe bi pta hai aur use bhi
fir bhi na jaane kyun ye sab sehte hai hum... na jaane kyu fir bi chalte rehte hai hum...
chalte chalte jab sochne ka waqt mila
to socha apna ye nakli nakaab utar kar is sansaar ko apni asli pehchaan kara du
lekin apno ke armaano ke bhoj tale dab gyaa
aur samundar per chale ja rha hu chale ja raha hu...